Jo dil ki raah par chalta hai, wo duniya badal sakta hai!

Jab bhi ek ladka ladki dost hote hai toh kabhi naa kabhi, kahin naa kahin se ye ishq beech mein aa hi jaata hai. Phir yaa to dosti pyaar mein badal jaati hai yaa dono alag ho jaate hai! Har haal mein dosti toh khattam ho kar rehti hai.

I know… I know tumhe meri baat rubbish lag rahi hai kyunki tum khud nahi jaantey ki tumhe Anjali se pyaar hai. Dehradoon se Bombay tum akele nahi aaye – Tumhare saath – tumhare dil mein chhup kar Anjali bhi yahaan chali aayi… Yahaan aakar tumne har ladki mein use dhoondhne ki koshish ki! Ek Sonia mili, jiske baal Anjali ki yaad dilate the. Ek Megha, jo theek thak cheese omelet bana leti thi! Ek Ria bhi mili… Jiski hassi kuchh kuchh Anjali jaisi thi. Magar… Anjali nahi mili. Milti bhi kaise? Anjali to ek hi hai! And you know what? Jab bhi kisi ladki ne tumhari aankhon mein jhaank kar dekha – wahaan khud ko nahi kisi aur ko paaya… Anjali ko. Aayi baat samajh mein Mr. Sanjay-Stupid-Malhotra! Yehi hai tumhari zindagi ka sabse bada sach.

Purani cheezein kabhi dhokha nahi deti.

Log paanv par kulhaadi mar lete hai, maine to kulhaadi par hi paanv maar liya, yaar.

Taayiji aapke liye ye kitaab… Feng Shuyi.
Muyi kaun si suyi?
Feng Shuyi, Taayiji! China ka vaastu.

Hi! I was looking forward to see you buddy. Sanjay Malhotra! Duniya ka wo doosra shaqs jo Anjali ke behad kareeb hai… Pehla… Doosre to tum ho.

This is mine… Rohit ye raha tumhara chocolate… And Ma’am ye raha aapka boring strawberry.

Ismein boring kya hai? 
Wo to tab pata chalega naa jab tum koi aur flavour kabhi try bhi karogi. Magar tumne strawberry ke alawa aur kuchh kabhi khaya hai. Waise ismein tumhari koi galati nahi hai. Tumhari life hi itni boring hai. Ab mujhe dekho, thoda saa blackcurrant, thoda saa mango, thoda saa mint and this lollypop also. Variety my dear is the spice of life.

Hai aaj mere yaar ki shaadi… Magar main khush nahi hoon! Hai kisi ke pyaar ki shaadi… Magar main khush nahi hoon! Maine roka use… toka use… samjhaya bhi… de ke vaasta apni yaari ka manaya bhi, uski raah ka patthar bana aur kaanta bhi… Phool banke uske saamne murjhaya bhi… Le kar ke chal diya hai wo bahaarein dahej mein… hai guley-gulzaar ki shaadi , magar main khush nahi hoon! Hai aaj mere yaar ki shaadi… magar main khush nahi hoon! Hai kisi ke pyaar ki shaadi… magar main khush nahi hoon!

Waise bhi shaadi mein sirf 6 din baaki hai Sanjay. Sirf 6 din. 6 din mein to duniya 6 baar ghoom jaati hai Rohit. 6 baar. Cool! I like your attitude. All the best.Tum apni duniya ghumao, main apni duniya sajaane chala. 6 din mein meri shaadi hai yaar.

Tumhare paas aata… Apni nazrein tumhari nazron se hataye bagair. Aise hi. Tumhe dekhte… tumhari aankhein bhi meri aankhon mein. Tumhare haath mere haathon mein. Tumhari saansein meri saanson mein. aur hawaaon ki paalki par baitha, pattiyon ki sarsarahat mein lipta… oas ki jheel mein doob kar bheenga ek khamosh lamha, chupke se tumhare kaano mein kehti ki… Pal bhar ke liye koi humein pyaar kar le jhoota hi sahi.

Zindagi koi dance competition nahi hai, Ria. Achchhe dance partners, achchhe life partners ho… zaroori to nahi. Zindagi ke bade bade faisle in chhoti chhoti baaton se nahi kiya jaate.

Kabhi nahi socha tumne – ki saari umar jhoole par tumhara haath thaame jo ladki baithi hai – uska is poore jahaan mein le de ke bas ek dost hi kyun hai? Kabhi nahi socha ki jis ladki ne ek ladke ke saath bachpan se jawaani tak ka safar tay kiya use apni baaki zindagi ke liye kisi aur ki zaroorat kyun hoti. Kabhi nahi socha ki us pagli ke liye uska wo ek dost hi kaafi tha. Wo ek hi ladka. Tum… Tumne kabhi nahi socha ki aakhir wo ek ladki hai… wo apne dil kaa haal pehle kaise kehti? Kabhi nahi socha? Kabhi nahi socha?