Awesome! Har dancer apney act ke baad ye word sunna chahta hai. Lekin jab ek stage pe bahut se dancers hon aur sab achchhey hon, to tum awesome kaise banogey? Aaj main yahi dekhna chahta hun. Try to impress me. Aisa kuchh karo ki sab kahein – ‘AWESOME!’

Hum champions hain. Behave like champions. Baaki dancers aapas mein hath milayengey, galey milengey. They call it sporting spirit! You know what I call it? BULLSHIT! Sporting spirit naam ki koi chez nahin hoti. Ye sirf ek bahana hai. Losers ke liye. Haar gaye to sabko munh kaise dikhayengey? There is nothing like a gracious loser! There is no grace in losing! And at JDC losing is not even an option. Aur jeet ka ek hi mantra hai – IMPRESSION! Jo bhi karo aise karo ki log impress ho jayein. Humarey har step, har move ka ek hi maksad hoga – WE DANCE TO IMPRESS!!

Auron ko impress karney ke liye to jaanwar bhi dance kartey hain. Mor dance karta hai taki Morni uskey sath date pe jaye, right? (the kids laugh) Lekin hum insaan hain aur insaanon ko sirf impress karney ke liye dance nahin karna chahiye. We must DANCE TO EXPRESS!

Bhagwan ne duniya banayi. Lakhon-karodon ped-paudhey aur jeev-jantu banaye…Phir unko dance diya! Hawa ke jhonkey ek lay mein pedon ke patton ko nachatey hain. Dariya ki lehrein ek taal pe uthti-girti hain. Machhliyon ka tairna, panchhiyon ka udana – har jagah dance hai –kyun?Dance is the sign of life Gopi! Koi cheez khud naachti hai to iska matlab – wo zinda hai!Marey huye hi to hain yahan sab! Roz wohi machine si zindagi jiye ja rahey hain. Lekin inki ankhon mein life ki chamak aati hai. Jab ye dance kartey hain.

People of world! Look! Idhar mein duniya ka sabse ameer aadmi baithelai. My chaddi friend, Vishnu! Isney naam nahin kamaya.Paisa nahin kamaya. Lekin ye ameer hai kyunki isney dost kamaya hai! Apun ka maafik! Jehangir Khan ka naam eent pattahron pe likha hoenga. Lekin iska naam ek din sabka dil pe likha hoenga. Apun ka guarantee hai.Aur jab tak iska sapna sachi-muchi real nahin hoenga, ye Chennai waapas nahin aayega. Sorry Chennai! Sorry!

Jo dekha dikhaya hota hai wo ‘Eww’ hota hai. Lekin logo ko surprise karo to it becomes… NEW

Dance apney aap mein ek nasha hai. Jab ye nasha ho, to aur koi nasha nahin kar saktey.

Is galatfehmi mein mat rehna ki tum mere sath kaam kartey ho. Tum mere liye kaam kartey ho Vishnu!

Chai ke maafik mera khoon bhi ubal raha hai! Aadmi jitna foolta hai uska dil utna hi shrink ho jata hai saala! 

Apna basti mein kaam chhota par naam bada. Full of respect! Apan fakkad aadmi hai. Aadhi roti na miley- chalega, ijjat poori milni chahiye!

To kaisi baat hai? Arrey! Tera ye dost haalat se gareeb hai jazbaat se nahin! Tu idharich rahega!

Is baar stage pe nahi lagaya angaar… to bol dena apun log bhangaar!

Himmat-e-marda to madad-e-Vardha!

On the spot, Goldspot!

Attitude. The use of body to correctly portray a feeling or emotion. Attitude hi expression ko janam deta hai.

Bar hata do to dancer hi hai na! Aur sir, majboori mein kuchh bhi karna padta hai. Lekin bar mein dance karneywali har ladki buri nahin hoti! Aur ladki buri ho to bhi dancer achchhi honi chahiye aur ye dancer bahut achchhi hai. Matlab, lena hai nahin lena hai wo aapki marzi lekin main hota to zaroor leta kyunki ye dancer achchhi hai. Aur ladki bhi.

Kyun? Ye doodh-peetey bachchey hain? Tum kahogi to aag mein kood jao to kood jayengey? Main kahungi to nahin. Aap kahogey to kood jaayengey!

Haalat aur aukat ne nahin, aapko aapki soch ne rok rakkha hai. Aapkey bachchey aapse aagey ja saktey hain. Lekin tab, jab aapki soch aapkey maa-baap ki soch se aagey jaye. 

Har circus mein kuchh jokers hotey hain. Humarey is show ki ye kami is Dee Dee Aaar se poori ho jayegi.

Lack of faith! Tum dono ne apney mann se soch liye ki samneywala apna kaam theek se nahin karega. Isiliye tumney apna kaam bhi theek se nahin kiya. Bharosey ke bina kisi ke sath dance nahin kiya ja sakta.

Hum to ghar se soch ke hi aaye they. In kagaz ke tukdon mein lapet ke chand-taarey dogey to bhi hum Vishnusir ko nahin chhodengey. Lekin phir bhi hum aaye.. Kyunki Rhea ne bola tha – jab aapki fatati hai to aapka face dekhney laayak hota hai!

A B C D.. Any body can dance! Ye humari theme hogi! Is stage pe ab tak jitney performances huye – sabne ek hi baat kahi. Humein dekho. Hum ye kar saktey hain jo aur koi nahin kar sakta. Aisa dance sirf hum kar saktey hain, tum nahin. Lekin aaj pehli baar hum wo karengey jo har koi kar sakta hai, karta hai. Wohi jo saalon se karte aaye ho. Jo ganpati visarjan me karte ho. Jo shadiyo me karte ho. India jab cricket match jeetata hai tab karte ho. Wohi to ek dance hai jo poorey India ko aata hai… Aaj hum wo dance karengey jo logon ko baantata nahin, kareeb laata hai. Wo dance, jisey log chup chap baithkar dekhe nahin saktey, balki uthke sath naachney par majboor ho jatey hain… Wo dance jo discipline se nahin hota… hota hai to sirf dil se…